Pages

Saturday, November 5, 2011

Andaaz-e-bayaan kuch is tarah bhi

Usy raas nahi aya izzat ke do lafz bhi kabhi
Ungli hamesha mere kirdar pe uthi hai zamane ki
Saliqeh ka dars deta hai hume hardam wohi
Jise kabhi wasta hi na tha tamaddun se kabhi
Ajab hal hai ya Rab zamane ka sochta hun aksar
Elahi insan hi ki nagri me insaniat milti nahi
Zindegani k har rang me jeene ki adat dal le aye hasan
Zindegi milti hai ehan par jeene ki sadat milti nahi
===============================
Muddat chahiye teri yaad ko mitane kelea
Humne har lamha tere kheyalon me bitaya kuch is tarah
===============================
Har rishte me poshida hai muhabbat gar samazh len
Har taalluq ki taqaddus me basti hai muhabbat apni.
===============================
Jo badal baras raha hai aaj teri gulposh rahon par
wo piche kisi ka jalta hua ghar chhod aya hai
aaj teri sanse basti hai jisme har ghadi aye dost
wo guzashta ayyam me kai sanse rok kr aya hai
aaj jo tere bais-e-fakhr hai aye mere rafeeq
wo kisi zindegi ka naaz-e-wafa loot kr aya hai
aaj tuzh se humkalam he ise sila-rehmi mat samazh
wo waafa se mukammal rishta tod kr aya hai
kash teri fahem meri samazh se bala tar hon
nachiz bazat-e-khud us daur se guzar kr aya hai
==============================
Usse shikayat na krunga be-wafai ki kabhi
Khamiyan muzh me zaroor hai jo wafa na pa saka
Usne to dil jala kar roushni ki thi magar
Mai parwanon ki manind jal na saka
Sath chalna tha do qadam aor bhi lekin
Faasla kisi bhi taraha ghat na saka
Shikayat thi to sirf khudi ki fahem se
Usy samazh na chaha par samazh na saka
============================
Mehfil-e-ajnabi me rounaq hai gairon ki
Fir bhi na-dani ka dawa krte hain
Mere khoon-e-jigar ko jalaa kar woh
Shamma-e-mehfil ko roushan krte hain
===========================
Bhatak raha hai koi andhere me abhi tak
Koi hai untazir uska jalta dia lie
===========================

No comments:

Post a Comment