Pages

Sunday, June 5, 2011

Na manne wali sachchaiyan

Tan chupane ko jiske pass lebas nahin muyassar,
zamane ka khitab-e-ghurbat mila use har bar,
Yeh kaisa daur mai jee rahe hum ay Rabb-e-Kareem,
jahan tan ki numaish ko hunar samzhti hai nazneen.

Shayeri Kya hain.

Samazhte hai shayeri ko log, tute dil ka aashkara
yeh fankari he dil ki tarjuman ki, jo aql se he mawara
aam insan ka rog nahi jo samzh sake har qis-naqis
ahl-e-dil ho ahl-e-qalam ho ahl-e-ilm ka gahwara

Aana ko gar kia faana tune, ahl-e-bashar ho kar
Arsh mai teri madah krengey, woh farishta ho kar
Rashk krengey hoor-o-malaikah, teri juhud-e-nafsi par
yeh kaam jab hi aasan hai yaron, hasti mitane par
===========================================================
Na paas he usy mazhab ka na paasdari momin ki
kaisi parwarish rahi hogi unke waledayen ki
mazhab-e-islam me paida hokr islam ko ruswa krte hai
kaise deen kaisa imaan fir bhi musalma kaha krte hai
kash ye badal lete apne naam-e-islami ko zara
shayd khuda ki qahr-e-gazab se bacch jate zara
wrna inki amal ki kitab jis din khulegi
afoso inky bas ki tab koi bat bhi na rahegi
============================================================
Sab Dhoka hai fareb hai nazron ka or kuch nahi
Kisi bhi sakhs ka is deyar me aitebar kuch nahi
Humne usy apna man kar dil ke auraq khol diey
usney mazak banaya jazbaton ka or kcuh nahi

usy samzne me ak arsa laga magr samzha kuch nahi
usne chahre se parda hataya magr pehchana kuch nahi
ajab hai elahi is deyar ke bashindah bhala khoob hai
bahut kuch dekh kr bhi ye be-bas samzha kuch nahi
==================================================
Na kar barbad, waqt-e-az had, kabhi ladki ke piche
Kama le dhan, rah tu magan, dekh ladki fir tere piche
Man le meri bat, milegi rahat, gar ho manzoor tuzhe
Bacha le izzat, na milegi zillat, kash ho yaqin tuzhe
==================================================
Dard-e-furqat ko lab pe saza kar kya krta
Hajar sa dil hai mere mehboob ka
=================================================

Haqiqat-e-Hal

Gar wafa kar gai zindegi to zahe qismat,
Wrna log daurte hain maut kelea har simat.

gar wafa kar gai zindegi to zahe qismat,
Wrna log taraste hain maut kelea.

Dhundla gaya hai ab woh chahra bhi,
Jo kabhi mere dil ke tughre mai naqhs tha.

Kuch dost humne aise bhi dekhain,
Dushman bhi khauf kha jaye jiski dosti se

Puchte ho sota q nai der raat ko
Dard aisa dia kabhi na bhulne ko
Tumhara ahsan he k phle din apna tha
ab din ke sath raat bhi mili hum ko

Aa-lam-e-Bebasi

Tum lakh chupao aur hum hazar zabt, yeh Ishq chupta nahi diwanon se
dar-o-diwar shahid he is ulfat ka, magar tumhe iqrar nahi he apne labon se
lab kushai ki himmat na krsakoge kabhi, q k himmat sada ati he hoslon se
wafa be-wafa chiz hai digar magar, yeh rishta hota nai qata kabhi sanso se
yeh aur bat hai k tume zabt he had tak, par kuch bhi chupta nahi teri ankho se
lakh talash le ta hadd-e-nazar koi bhi, naqsh hai tere dil me hum har jagah se
tuhze humari justuju na sahi magar, bhula na sakoge hume kisi tarah se
ajeeb bebasi me ji rahe ho tum humdam, chah kr bhi dil ka ayna na dekh sako kahi se
gar haq hota tuzhe izhar-e-muhabbat par, chilla chilla kar kahta khulli fiza se
muzhe khuf nahi he ishq kia maine magar, baz rakha he muzhe kisi ne aisa krne se
kash tuzhe hota ikhteyar maut par, mazeed chand sayat aur jeeta uski wajah se

Waqt ki pasti
Chaha is qadar tuzhe lillah izhar ho na saka
Gurbat itni thin k wallah lab khul na saka
Mahl-e-muhabbat ko dha dia tune pal bhar mai
Aisa kabhi sochta k aisa ho na saka
Teri muhabbat ka dam bharte hain hum ghairon se
Par tune ruswa aisa kia k apna bhi bach na saka
Tuzhe to yaqeen hi na tha meri muhabbat par kabhi
Yeh raaz kuch aisa khula k rah na saka
Gar na hota jaan-e-amanat lena gunah-e-azeem
Kar guzarta yeh kam bhi pura aarman ho na saka
Kis tarah se jee rahe hum tamam ilzam lade sar
Yhan uff bhi krta kabhi aisa ho na saka
Ya rab tere nizam-e-nirali ka kya kehna
Tuzhe samium baseer na janu aisa ho na saka
Teri sultanat ke agey kon himmat-e-labkushan hai
Mai to khatakar gunhagar hun tuzhe samzh na saka
Ya rab yaqin-e-mustahkam teri zaat pe rakh is tarah
K Aarzoo-e-Baaqi puri na hon aisa kabhi ho na saka
==============================================================
dil ke masoom thy hum khata kar gaye
pal do pal may hi dil fida kar gaye

pata na tha k woh humse daga kar gaye
yeh to karam he k dost aisy kam kr gaye

sach suna to ankhey phati k phati rah gai
dil ne roka magar yaqeen zubaan kar gai

jab suna dard uska rooh bachain kar gai
khatm tamam gila ko uski taleef kar gai

asar is qadar uski taleef kar gai
dard bhul gaya rooh betab kar gai

be bas hai ab uski takleef mai hum
do boond aansuyon ke bachi reh gai

do hath uthaya uski khushi kelea
rabb ne sun lia asar dua kar gai

uski chand yadeyn aaj wafa kar gai
dil mera shafaf aur ankhey bhar gai

asar aisa hum par muhabbat kar gai
jo chaha rabb se asar dua kar gai
=====================================================================
Aaj fir se qasam tooti hai apni kya khata thi Ya Rabb
Kiyun majboor hun is dil ke agy kya saza hai Ya Rabb

Kya hikmat hai khilqat-e-qalb ke piche bata Ya Rabb
Dekhta hai usy dard me to yeh kiuyn rota hai Ya Rabb

Ab na raha koi wasta na hi koi rabta Ya Rabb
Fir kiuyn gham-e-yar me ashq behta Ya Rabb

Gar ho maqbool muqaddar de apni ulfat Ya Rabb
Muhabbat-e-bashar se rakh door de apni ma'refat Ya Rabb

Elahi krde ata taufeeq-e-nafs pe zabt Ya Rabb
Wrna dede faut-e-izzat na de zillat Ya Rabb
===================================================
Gharibi is qadar asar-andaz hai jahan-e-wafa mai
Hamare sine me dil dharak raha hai kisi auor kelea
=================================================

Some reflection of the truth

Maghribiyat ka asar hai yeh, har su be-hayai chayegi
musalman nam ka hoga baqi, iman ki hararat na rahegi
maghribi tahzeeb khub panpegi, phle phulega be-Iman
farmaya rasool hadison mai, yeh hai qiyamat ka nishan
hoshmand raho aaqil-o-baligh, jab yeh waqt aa jayega
bachalo daman bazar-e-husn se, wrna Iman mushkil se bach payega
gar khauf hai malik ka, jo jaan tumhari bakhshi hain
har sayat ko kam me lagao, k badi neki se sasti hain
kehkr musalm khud ka Ima, na kro ruswa salamt ko
phle padho or phir jano, amal mai musalman hone ko
====================================================
is dour-e-hazir me chand bashar mily
apne paraya jo bhi mily matlabi mily
har ak ko garz thin meri zaat se
maqsad pura hua too kisi jagah na mily
hum pehly bhi tanha they ab bhi tanha hai
har koi chor ke chale gay jo naseeb se mily
ab to apni qismat pe shakir rahna sikh lia
har ak ke kam ajau mere kam me koi mily na mily
================================================
woh fakhr krti hai jism ki numaish me
woh khush hoti he gairon ki tareef me
kabhi usy fursat nahi mili e sochne ki
upar wale ne usy banaya kisi maqsad se
==============================================
usy sirf apne hi dard ka ahsas tha
khudgarz na thy bas ak mejaz tha
usne jab dosti me faraghdili mangi
hum iqrar na kr paye waqt ka taqaza tha

muzhe koi shikwa nahi uski masoomiyat se
usy koi apna mile is jahan me bas ehi dua he rab se
hum to apna banna sake khamiyon ke bina par
par usy tamam jahan ki khushi mily har maqam se
==========================================================
hum aksar teri yadon k die jalaya krte hain
apne khun-e-jigar se phir usy roushan kia krte hain
tel ki jagah boondon ko hum istemal kia krte hain
teri yadon ko bachane kelea zindegi dia krte hain
==============================================================
Husn aaj be naqab he bhari mehfil me
Ruswa kro chahe tareeef
Yeh to nazron ke hunar ki bat hai
badsha ho ya ghareeb
=================================================
Tanha hun mai har pal har jagah
tanha hun mai
bhara majmua he mera koi nai
tanha hun mai
kheyalat ki parwaz me hun sada fir bhi
tanha hun mai
sab ka aziz hun mai har pukar meri he fir bhi
tanha hun mai
har koi ta-hadd-e-nazar me hai yahan
tanha hun mai
magar ksi ki talash me mai
tanha hun mai
maa ki mamata nahi pukarti ehan
tanha hun mai
jisy apna khun woh nahi ehan
tanha hun mai
abbu ki shafaqqat bhari nazre niharti nahi ehan
tanha hun mai
bhai ki mehfooz muhabbat nahi he ehan
tanha hun mai
mai hans na sakun na ro sakun
tanha hun mai
ashk bhi palkon mehi khusk hogaye
tanha hun mai
ragon me khoon ki harkat muzhe nahi mehsus
tanha hun mai
Khuda kelea muzhe akela na choro
tanha hun mai
muzhe meri tanhai ki tariki se nikalo
roushni ki khwaha hun mai
tanha hun mai
=============================================

Saturday, September 5, 2009

HAMD-O-SANA-E-BARIE TAYALA



Shru us rabb-e-do jahan ke name se jo be-had rahm-o-karam krne wala hain. Yqinan us ki zaat ba barkat he aur jahan ke tamam khitte par uski sultanat hain aur har zarre pe us ki qudrat. Beshak woh layeq-e-purstish hain, nahi hain koi ma'bud siwa-e-uske. aur beshumar o bepanah durud-o-salam ho uske rasool-e-bar haq fakhr-e-maujoodat, sayyedul mursaleen, khaatamun nabiyyin, aaqa sarwar-e-do alam, noor-e-mujassam, huzur alihissalatu wassalam par. yeh woh shaksiyat hain jinke lea Allahu jalla jalaluhu ne farmaya sabse bad kr muhabbat-e-khulus ka haqdar hain. aur inse mohabbat ki takeed farmaye eha tak k inteha se tajawuz kr jaye to bhi kam he.
========================================================
Hamd Teri o Sana Teri Har Shaye Tere Mohtaaj Hai
Tu Hai Sab Ka PalneWala q kr Kisi Or Ki Ibadatdat krey
Jab Tuhi Khaliq Tuhi Malik Kisi Aor Ko Hum Kya Jane
Firbhi Tere Sharik Bana kr Q Gairon Ko Sijda Kia Krey
Tu Lasani Hai Apni Fitrat Pe Jab Tera Zawal Hi Mumkin Nahi
Q Na Tuzhko Buland o Bala Samazh Kar Sijda Ada krey
Tuhi Nasir Tuhi Zahir Tuhi Sab Kuch Dekhne Wala
Q Na Tuzheko Baseer Samzhkr Har Ghari Tuzh Se Dara Krey
Tuhi Raheem Tuhi Kareem Tuhi Be hisaab Denewala
Tere Ikhteyar Ko Q Na Hum Sar-e-Kham Tasleem Krey
=======================================================
Na rif'aton ki talab hai muzhe na intehan ki talsha hai
Aye mere KIBRIA muzhe sijda-e-maqbool ki talash hai
====================================================
Talabgar tuzh se jo talab kre, usy woh ataa kar
Mai banda hun, muzhe sirf quwwat-e-bandegi aata kar

Na anaa chahiye na shahen shahi, Aajizi aata kar
Supurd-e-khak ki garz, do gaz zameen aata kar

Na daulat chahiye na shohrat, sharafat-e-nafs aata kar
Khasail-e-razila se rakh paak, ausaaf-e-hasana aata kar

Na jaza chahiye na saza, aamal-e-salehh ki sadat aata kar
Har sajde ko mere MAULA, sharf-e-qabuliyat aata kar

Jisy ho talab-e-duniaya, usy khoob khoob ataa kar
Muzhe talab-e-RABB-E-PAK hon, aisa qalb ataa kar

Mere MAULA har bande ko aiesh-o-ishrat aata kar
Muzhe sirf mere KHUDA, zaroorat-e-zindegi aata kar

Zubann ki jadugari de sabko, lahn-e-shireen ataa kar
Muzh ko zikr-e-ELAHI ki ho taufeeq, aisi zubaan ataa kar

TAWAKKALTU ALALLAH kar skun QANAAT ki taufeeq ataa kar
IMAAN-E-MUFASSIL BIL-QALB yaqeen-e-kamilah ataa kar

Jo mangne se rah gaya aye RABB-E-QUDRAT who bhi ataa kar
Teri khushnudi ki ho talab ta-umr aisi zindegi ataa kar

Mere anjaam bil-khair hon MAULA, aisi fikr ataa kar
Teri RADA ki ho rasai mujh ko aisa zikr ataa kar

Jo kuch bhi qalam-daraaz hai Baaqi khair-o-barkat ataa kar
khalq-e-KHUDA ko ameen kahne ki taufeeq-o-sadaat ataa kar
==================================================
Nahi kisi qalam ke mohtaaj hai woh
Bila shuba rabb-e-zul jalaal hai woh
Na dam hai kisi me sifat-e-bari tala kre
Na parwah hai usy koi uski bandegi kre
Woh be-niyaz hai hamesha se aur rahega
Khalq hamesha uska ghulam rahega
Na hai koi bahar uski nigahbani se
Wohi hai maula beshak rooz-e-azal se
Sar-e-kham kar hamatan uske aggy e soche bina
Woh khuda hai khuda rahega har cheez ke bina.
=============================================

AQWAL-E-ZARRIEIN

SHARAFAT agar khahishat-e-nafsani me mudgam hokr fitrat-e-insani se shikast kha jati he natijah apni pehchan se sabakdoshi hattal imkan kaushish nafsi juhud ki honi chahiye agar e galib ajaye to shaksiyat ka zwaal yaqini hain. arsh-se-farsh pe aa girega insani wajood.

"MUHABBAT"
pal bhar kelea bhi mehbub ki yaad se gafil na hona, zahen ke goshe goshe pe uski hukumat goya wo kisi deyar ka hakim hon. muhabbat agar jismani sukun ki husulyabi me garq ho jaye to uski pakizgi kafoor ho jati he fir ak aisa phool ke manind he jo apni khushbu o taharat khochuka hon natijah sar se utar kr payer se ronda jaana. piyar me jismani taskeen ki kahi koi gunjaish hi nahi wrna woh piyaar nahi mehez hawas he HAWAS. aur hawas ki muddat 2 se 5 minute he jabke piyar ki muddat ta umr hain yeh ankhon se shuru ho kr sanson pe khatam hota hain. koi nazar bhi mehboob pe khawahish ki guzri to samzho yeh muhabbat ki tauheen hain aur tum is khitte main basne ka layeq hi nahi

sanjeedgi zindegi ka har pehlu ka ahem tareen hissa hain so learn how can control on emotions its help u to get an unique place among d people

MUSLIM jab tak apne hath o zuban ko kisi khalq-e-khuda ko takleef puhchane se baaz na rakh paye tab tak o musalman nahi khlaya ja sakta q k iza rasani (kisi ko bila uzr takleef dena)ISLAAM me haram (extrictly prohibited by Allahu Sultanuhi)hain.
ibadat-e-elahi me zaouq ko buland rakhne kelea zaruri hain mazhabi ahkam ko apne upar lazim krden hattal imkan munkir baton se apne ap ko roke yaqinan Allahu wajje ajal us shaks ko apni qaoum me nayab maqam ata krega maut se phle or maut ke bad bhi.

Apna pan me istemal ki gai fuhush zuban bhi dua ka maqam rakhti he bashart-e-k
gusse ka jwalamukhi fat na paye wrna sab kuch bah jayega.

Rishton ke darmiyan duriyan, na-ittefaqi rishton ko aur bhi zada mazbuti o mustahkam bakhsti he khawa muddat-e-ranjish taveel kuy na hon

Har rishton ka aaghaz poshida muhabbat se hoti he jis me chand ak wajuhat khalal paida krdeta he lekin ise khatm krne me kisi ghayer ki himayat yaqini o lazmi he firbhi ghayer ka wajood ka maujood hona be-inteha takleef-deh he.

Zindegi ke chiragon ko mahez chand la-hasil waqeyat ki wajuhat ke bina par buzhne na do, yeh woh qimti shay hain jise qudrat ne tamam chizon par fauqiyat di hain, iska koi nimal-badal nahi, sirf aur sirf hifazat hi iska ahem maqsad hain, koi digar shay nahin jiski banisbat ise maol lia ja sake.

Thursday, May 28, 2009

IZHAR-E-JAZBAAT

Kami ke sath sath khubi na hon,
Aisa shaks to zameen pe na hon.
kon gotazan nahin is bebak dil main,
Badsha ne bhi talash ki sukuun gesu-e-kaneez main

har boond ki qimat milegi gar aake dekho
chahaton ka samandar rawan-dawan dekho

bahta he kabhi shant kabhi bebaki se
humraz hona chaho to doob ke dekho

kinare pe saeil-- bhala kya dikhega
manzar dekhna ho daman bhigo kr dekho

tairna ata nai par shirkat ki aarzu he
mazdhar me fansi nav ki buri halat dekho

suzhta nahi he kuch siwae uske yahan
zahen ke goshe goshe pe uski sultanat dekho

kuch nahi he khabar badsha-he-ahl-e-chman ko
ujdi he dil ki dunia reza reza patzad dekho

==================================================
tere tanz me chupi baat wo tareef me kahan he
shabnam me chupi boond barish me kahan he
===================================================
Nazr-e-ulfat se dekho to mil jayenge
Kushada-e-dil se dekho to khil jayenge
Haajat usko b hai tumhari chahat ki humdam
Roushan shama me parwana chale b ayengy
===================================================
muhabbat ko uhi aam an karo
har jagah ise nilam na karo
kuch khas dil he makhsus iskelea
istarah apne kirdar ko badnam na karo
===================================================
husn he ak dhoka yaroon
sameto daman jaha tak mumkin
aag jalati to he daman ko
yeh jalata he dil ka maskan
===================================================
mahekta ghulab ho tum
chahekta aaftab ho tum
taskeen-e-qalb ho tum
sukun-e-zindegi ho tum
aankhon ki thandak ho tum
zubaan ki mithas ho tum
ahsas-e-murawwat ho tum
mehsus-e-musarrat ho tum
gamgheen rahon main
tasalli ka paygham ho tum
khawabon ki nazneen ho tum
tasawwur ki tasveer ho tum
jeeene ki quwwat ho tum
maut ke bahana ho tum
===================================================
HAL-E-DIL KUCH IS TARAHHH
=========================
Mai tuzhe paa na saka eh or bat hain,
par Rab se teri salamati manga krta hun.

kitni hasraton se chaaha hain tuzhe maine
kabhi sisakti arzooyon ko dekh lia krta hun

is betabi ko be-naqabi se bachale ya Rab
har samt me teri imdaad maanga krta hun

khauf he k iman na khodun muhabbat-e-bashar me
zahen ke har khitte me teri sultanat manga krta hun

mustajab hon meri dua us k haq me ya Rab
apni betabi se uski be-khabri manga krta hun

lahr-e-muhabbat usey baha na le jaye kahin
har waqt hath uthaye e dua manga krata hun

uske wajood ko pak rakhna har fail-e-qatil se
nam ankhon se teri bargah me iltija kia krta hun

Daulat-e-Imani se musharraf kar mere mehboob ko
Tere mehboob k sadqe se mai e dua manga krta hun

ummed hai k teri zaat aaj josh-e-rahmat me ayegi
Aye Baaqi tere bharam ki laaj mai Rab se manga krta hun.