Pages

Monday, March 26, 2012

Toot kar bikher ne ka maza hi kuch aur hai

Toot kar bikher ne ka maza hi kuch aur hai
Gar hosh ho baqi sambhalne ka to muhabbat keya

Muhabbt gar ho jaye kisi se

Muhabbt gar ho jaye kisi se
Namumkin hai bhulna fir kisi se
Lakh tufaa ho jaye barpa darmiyan
Na tute ek dhaga bhi kisi se

Ajab rishta hai dunia me ehi ek
Keya baadsha keya faqeer sabhi ek
Ruth na mananahi muhbbat ke do bazoo hai
Na rah sake kabhi ek ke baghiar ek

Wednesday, December 28, 2011

Mukhtalif atraaq izhar-e-muhabbat ka

Har koi likhta hai qalm-e-dard se dastan-e-Muhabbat
Mai tauheen-e-Muhabbat ki garz lab ko sie raha
Zamana meri be kasi ko ba basi samazh baitha
Mai talab-e-sabar me musalsil duyan mangta raaha
================================================
Lafzoon me Izhaar-e-muhabbat nahi aata
Dil ko chak krta k yeh hunar nahi aata
Tu muntazir hai k lafzon me mumtaz krdun teri Muhabbat ko
Magar afsos k hame dil ki tijarat nahi aata
==========================================
Boli me farq magar zubaan hai ek
Rang me farq magar Insaan hai ek
Hota gar iss qoum me Imaan bhi ek
Hota sultan ru-e-zamee ka muslmaan bhi ek
==========================================
Mere mehboob ki saadgi kuch aisi rahi
Jo mere piyar krne ki wajah rahi
Mana k usme aisa kuch bhi nahi magar
Jo usme hai woh kisi aur me nahi
===================================
Husn me poshida hai naaz o harkat wrna
Dil kisi girift me kahan aata
Be-bak chalna hi fitrat hai dil ki wrna
Dil ke aagy majboor kiyun hota
Yeh souda anmool hai beshak koun kre inkaar
magar bikta hai ek nazron me, har ek ko kharidna nahi aata.
=================================================
Mehfil-e-ajnabi me rounaq hai gairon ki
Fir bhi na-dani ka dawa krte hain
Mere khoon-e-jigar ko jalaa kar woh
Shamma-e-mehfil ko roushan krte hain
=========================================

Aye mere KIBRIAA

Talabgar tuzh se jo talab kre, usy woh ataa kar
Mai banda hun, muzhe sirf quwwat-e-bandegi aata kar

Na anaa chahiye na shahen shahi, Aajizi aata kar
Supurd-e-khak ki garz, do gaz zameen aata kar

Na daulat chahiye na shohrat, sharafat-e-nafs aata kar
Khasail-e-razila se rakh paak, ausaaf-e-hasana aata kar

Na jaza chahiye na saza, aamal-e-salehh ki sadat aata kar
Har sajde ko mere MAULA, sharf-e-qabuliyat aata kar

Jisy ho talab-e-duniaya, usy khoob ataa kar
Muzhe talab-e-RABB-E-PAK hon, aisa qalb ataa kar

Mere MAULA har bande ko aiesh-o-ishrat aata kar
Muzhe sirf mere KHUDA, zaroorat-e-zindegi aata kar

Zubann ki jadugari de sabko, lahn-e-shireen ataa kar
Muzh ko zikr-e-ELAHI ki ho taufeeq, aisi zubaan ataa kar

TAWAKKALTU ALALLAH kar skun QANAAT ki taufeeq ataa kar
IMAAN-E-MUFASSIL BIL-QALB yaqeen-e-kamilah ataa kar

Jo mangne se rah gaya aye RABB-E-QUDRAT who bhi ataa kar
Teri khushnudi ki ho talab ta-umr aisi zindegi ataa kar

Mere anjaam bil-khair hon MAULA, aisi fikr ataa kar
Teri har RADA ki ho rasai ahqar ko aisi rooh-o-qalb ataa kar

Jo kuch bhi qalam-daraaz hai ahqar khair-o-barkat ataa kar
khalq-e-KHUDA ko ameen kahne ki taufeeq-o-sadaat ataa kar
=========================================================
Nahi kisi qalam ke mohtaaj hai woh
Bila shuba rabb-e-zul jalaal hai woh
Na dam hai kisi me sifat-e-bari tala kre
Na parwah hai usy koi uski bandegi kre
Woh be-niyaz hai hamesha se aur rahega
Khalq hamesha uska ghulam rahega
Na hai koi bahar uski nigahbani se
Wohi hai maula beshak rooz-e-azal se
Sar-e-kham kar hamatan uske aggy e soche bina
Woh khuda hai khuda rahega har cheez ke bina.
==============================================
Tu Badshaah hai Ard-o-Sama ka aye mere Maula
Mai parastar-e-naafs muzh ko teri rasaai kahan
==============================================
Lafzon ki hunarmandi me na khush rahe hum
Sadaqat aur haqiqat me sada gum rahe hum
Ilahi krde hamari fitrat kuch iss tarah
Khalq soti rahe jabb teri ibadat krte rahe hum
==============================================
Aajizi ke ausaf se muttasif kar YA RABB
Anaa to teri zat-e-ba-barkat hai YA RABB
Anaa ki zid se mehfooz rahe har bashar YA RABB
Is laanat se har fard ki hifazat kar YA RABB
Na chhod is ghaleez nutfe ko uski nafs par YA RABB
Banade najas qatre ko tu seep ki moti YA RABB
Teri qudart hi jalwagar hai harr su YA RABB
Banade raushan zameer ke malik har ek ko YA RABB
Tmamtar khatayon ko kar darguzar YA RABB
Taufeeq de har gunah se ijtenab ki YA RABB
Nahi mumkin kuch bhi teri rahmat k baghair
Ausaf-e-hasana se HASAN ko muttasif kar YA RABB
===============================================
Al Qalbu Arshillah magr Insan na shukr
Muhabbatt-e-gairullah lea firta he zamane me
fir shikwa khuda se tune dil kiyu banaya
yeh bhool baithe jo wada tha Aalam-e-Arwaah me
Qsam zate-e-pak ki uski rahmat hai wrna
Har lamha yeh mubtala rahe azab-e-Elahi me
Quwwat-e-baazoo me na raha dam kisi ka aye Hasan
Yaqeen-e-Imani chaiye nijat-e-aakherat me
===========================================

Saturday, November 5, 2011

Andaaz-e-bayaan kuch is tarah bhi

Usy raas nahi aya izzat ke do lafz bhi kabhi
Ungli hamesha mere kirdar pe uthi hai zamane ki
Saliqeh ka dars deta hai hume hardam wohi
Jise kabhi wasta hi na tha tamaddun se kabhi
Ajab hal hai ya Rab zamane ka sochta hun aksar
Elahi insan hi ki nagri me insaniat milti nahi
Zindegani k har rang me jeene ki adat dal le aye hasan
Zindegi milti hai ehan par jeene ki sadat milti nahi
===============================
Muddat chahiye teri yaad ko mitane kelea
Humne har lamha tere kheyalon me bitaya kuch is tarah
===============================
Har rishte me poshida hai muhabbat gar samazh len
Har taalluq ki taqaddus me basti hai muhabbat apni.
===============================
Jo badal baras raha hai aaj teri gulposh rahon par
wo piche kisi ka jalta hua ghar chhod aya hai
aaj teri sanse basti hai jisme har ghadi aye dost
wo guzashta ayyam me kai sanse rok kr aya hai
aaj jo tere bais-e-fakhr hai aye mere rafeeq
wo kisi zindegi ka naaz-e-wafa loot kr aya hai
aaj tuzh se humkalam he ise sila-rehmi mat samazh
wo waafa se mukammal rishta tod kr aya hai
kash teri fahem meri samazh se bala tar hon
nachiz bazat-e-khud us daur se guzar kr aya hai
==============================
Usse shikayat na krunga be-wafai ki kabhi
Khamiyan muzh me zaroor hai jo wafa na pa saka
Usne to dil jala kar roushni ki thi magar
Mai parwanon ki manind jal na saka
Sath chalna tha do qadam aor bhi lekin
Faasla kisi bhi taraha ghat na saka
Shikayat thi to sirf khudi ki fahem se
Usy samazh na chaha par samazh na saka
============================
Mehfil-e-ajnabi me rounaq hai gairon ki
Fir bhi na-dani ka dawa krte hain
Mere khoon-e-jigar ko jalaa kar woh
Shamma-e-mehfil ko roushan krte hain
===========================
Bhatak raha hai koi andhere me abhi tak
Koi hai untazir uska jalta dia lie
===========================

Waqt jo guzra hai tere bin

kabhi usy fursat nai thi gairon se hamkalami ki
aaj bhari mehfil me aafshan ki he hal-e-dil apna
is qadar kamzor hai woh ahsas na tha phle kabhi
shayed yeh andaz-e-juda he talash-e-rafeeq ka
Ilahi wasta he tera hijr me ak raaz tha
jab dekha mathe pe uske sijde ka nishan tha
niyat ki he aye hasan pakiza he woh bila shuba
har hal me usy in gunahon se bachana hoga
isi garz maine toda he yeh bandhan ko
take paa sake woh falah tere rah-e-haq par rahne ko
Ya Ilahi bachale usy is fereb ki dunia se
woh masum he uski masoomiyat kabhi majrooh na ho paye
aaj bhi basti he jaan meri usme kahii na kahi
par uski behtri kelea juadai ko muqaddar mana hai
de taufeeq or sadat bhi ahkam-e-shariat baja laun
jitna ho sake mumkin teri bandegi me sar-e-kham rahun
=================================
Davedar hai woh pakizgi ka bhala ajeeb bat hai
Har ghadi raunaq-e-mahfeel ho kar bhi
Khokli bate thi sab laffazi aor kuch nahi
Dhoka kha gaye hum surat-e-asli ki shanakht me
=================================
kash use bholne ki koi dawa hoti
use yaad krne ki koi saza hoti
to mai har dawa ko leta saza ki manind
aye kash yeh aarzoo kabhi puri hoti
================================
Elahi ye aarzoo hai uski k mai use yaad rakhun ta uamr
Tuzh se ilteja hai k use koi hamsaya naseeb ho humse behtar
================================
Yeh meri bebasi hai k tuzh ko paa na sakunga
Magar meri yaad-dasht mit jayegi teri yaden miatate mitate
================================
Maine khoon-e-jigar se roushan rakha teri yaadon ka dia
Qatil zindegi wafa krti to buzhne na deta dia tere didar k bagair
================================
Jia jo pal teri yaadon me ohi zindegi hai
Jia jo lamha tere kheyalon me ohi bandegi hai
is k siwa har sayat barbad he is jahan me
roushni or tariki ka hi khel hai zindegi me
===============================

Monday, September 26, 2011

Khamosh zuban ki kahani

Kabhi itne qarb the k sason ki garmi ka ahsas tha,
Ajj ru-baru- ho kar bhi nazron me faasle hai,
Aajeeb qurb tha na uswaqt samzhte the na ab,
Fir bhi kuch ahsas kabhi sard kr jata hai
==================================================
u to dam bharte hai har shaks apna hone ka
aazmane par nikla bashinda khud garz zamane ka
waqt-e-shadaid me har chehra be naqab ho gayaa
jisy apna samzha tha maine ohi ab begana hogya
==================================================
Ye teri rahmat ki inteha hai Elahi
Sab kuch kho kr bhi dil tuzh se hai razi
wrna ghaleez nutfe ki haqiqat hi bhla kya hai
har shai pe chalti hai sirf teri hi marzi
===================================================
Badon par bhi barsa de aye barsane wale
Hum bekason pe karam krde aye krama krne wale
Tu Raheem o Rahman karde pura mere aarman
Tu Jaleel o Jabbar Khaleel o Qah har
mabood nahi hai koi siwa-e-tera
Tu aalimul Gayab Har chiz me nayab
Nahi hai koi duja siwa-e-tera
===================================================
Tum cahnd ho beshak yeh aor bat hai
Magar tumhare lea dusri raat kahan se laye
==================================================
Ehi aurat banegi indhan-e-Jahannam,
Jis ko nahi hai kheyal Shariyat ke ahkam,
Numaish-e-jism me masroof hai bhare bazar me,
Zameer zara b na roka k tum ho Iman walon me,
Krta hai ahqar dua tumhare haq me khususan,
Elahi muzaiyan krde Ahakam-e-Islam se inka daman
================================================
Usne meri chahat ko rog samzha la la-elaj
Nadan meri bhoolne ki fitrat se waqif na tha
Dil na tha Kamzor na kisi chahat ka mohtaj
Yeh zikr-e-baba-e-nau hai shayed usy pata na tha
================================================