Pages

Monday, March 26, 2012

Husn aaj lalkar raha hai meri nafs ki sarkashi ko

Husn aaj lalkar raha hai meri nafs ki sarkashi ko,
Khouf-e-Elahi se larza de meri ghairat ko Ya Raab

Musalman ho kar bhi woh qatil-e-shara hai,
Aise eman se meri shaurat ko bachale Ya Rabb

Mana k alamat-e-qiyamah hai yeh sab kuch magar,
Teri taufeeq pe naaz hai tu kibria hai Ya Rabb

Tere chahre pe ab woh baat na rahi

Tere chahre pe ab woh baat na rahi
Hansi hai hoton par magar khushi na rahi
Koun padhe tere chhre ki tassurat ehan par
Dard-o-gham k bashinda ab woh hasti na rahi

Jise naafs par qaboo na hon woh maghfirat ki talab kren

Jise naafs par qaboo na hon woh maghfirat ki talab kren
Jise dil par qaboo na hon woh apni faut ki dua karen

Aise dil ka kya krna jo zikr-e-elahi se ghafil hon
Aise dil ka bhi kya krna jo hubb-e-bashar me ghayel hon

Aise dil ka bhi kya krna jo khud ko krde be-qaboo
Aise dil bhi kis kam ka jo ghair kelea dharke harsu

Aise dil ka kya krna jisy Irada rok na sake
Aise dil bhi kis kam ka jo apni nazar se girade

Ya Elahi krde khali dil ko bashar ki ulafat se
Hatta k mod k na dekhen jiska ghulam hai e barson se

Karle qabool aye maghfoor wasta tuzhe tere mehboob ka
Bachale nafs ki sarkashi aur dil ki manmani se ya maula

Jise naafs par qaboo na hon woh maghfirat ki talab kren Jise dil par qaboo na hon woh apni faut ki dua karen

Jise naafs par qaboo na hon woh maghfirat ki talab kren
Jise dil par qaboo na hon woh apni faut ki dua karen

Dil apna zarf kho baitha hai

Dil apna zarf kho baitha hai
Ghairullah se uns kar baitha hai
Banaya rabb ne usy zikrullah kelea
Magar har mod par nafs se har baitha hai

Aise dil ka kaya krun Elahi tuhi bata

Aise dil ka kaya krun Elahi tuhi bata
Jo taab na lasaka mehez do ahraaf ka
Ankh bhar aie suna jo lafz phli baar
Elahi ehi haqiqat hai dil ki takhleeq ka

Yaad-e-musalsal me kuch tha hi nahi lekin

Yaad-e-musalsal me kuch tha hi nahi lekin
Dil ko tadap ne ka saleeqa agya