Pages

Saturday, March 31, 2012

Koi muzhko meri jaaa'n

Koi muzhko meri jaaa'n har hal me loouta do
Nafraton ki diwaron ko aaj firse hata do
Qasd hai k koi khata na krunga uski shaan me
Muzhko sada meri jaaa'n ki ulfat me mita do

Kahan ho tum ard-o-sama mai

Kahan ho tum ard-o-sama mai
Kahan ho tum mehekti fiza mai
Kahan ho tum chalti pavan mai
Kahan ho tum udte gagan mai
Kahan ho tum baag-o-bahar mai
Kahan ho tum sham-o-saher mai
Kahan ho tum subah ki thandak mai
Kahan ho tum sham ki rangat mai
Kahan ho tum shaiyer ki ghazal mai
Kahan ho tum kavi ke kheyal mai
Jahan kahi bhi ho tummmmmmm
Meherbaaan ho kar lout aao sanammmmmmmmmm

Jigar chahiye muhabbat me

Jigar chahiye muhabbat me barbad hone ko
Damdar log hi aksar muhabbat kia krte hain

Dard-e-ulafat ko bayaan krne

Dard-e-ulafat ko bayaan krne ki justuju mai humne eksar
Izhaar-e-muhabbat ki khamiyon ko nazar andaaz krdia
Pal do pal ki bhi fursat nahi thin k pasheeman hota
Talab-e-manzilat me muhabbat ko uhi rooswa krdia

Tuesday, March 27, 2012

Shehr-e-qazi se kho k ..........

Shehr-e-qazi se kho k muzh ko qatal kraden
Dard-e-ulfat ko zhel pana ab mushkil hai bahut
Yeh dil kafir ho chuka hai Yaad-e-bashar me
Ab Yaad-e-elahi me momin hona mushkil hai bahut

Usy qatai zarurat nahi hai meri

Usy qatai zarurat nahi hai meri
Muzhe uski chahat hai har ghadi
Kuch aisa karam ho jaye mere MAULA
Usy mil jaye rahat aur muzhe talab-e-digari

Chupa kr bhi dekha...........

Chupa kr bhi dekha bayaan kar bhi dekha
Be-panah mehboob ko chah kar bhi dekha
Har hal me zillat mai utha kar bhi dekha
Dil uska murda hai yeh aazma kar bhi dekha

Be-basi me aansun baha kar bhi dekha
Be-kasi me aksar roo kar bhi dekha
Har hal ko muqaddar mai maan kar bhi dekha
Dil uska paththar hai e azma kar bhi dekha

Sabr ki dua mai maang kar bhi dekha
Judai ka aalam mai sah kar bhi dekha
Har hal me pasti mai utha kar bhi dekha
Dil uska ghafil hai yeh azma kar bhi dekha