Pages

Saturday, June 2, 2012


Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Wafae-e-Ulafat, Murawwat neez musarrat ki aarzooo na kar
Aye dil-e-nadaan jahan-e-iqshq me chahat ko majrooh na kar

Tuesday, May 22, 2012


Woh daur-e-tifil me mera, hamsaya hua krte thy
Todte thy khelouna magar, rishta nai toda krte thy
Jwani ne aaj is dehleez pe la khada kia humayn
Ab todte hain dil , pehle jo khelouna toda krte thy

Bada hi kamzarf hain hum apni aarzooyon me BAQI
Ard-e-Elahi me khalq-e-khuda chahiye khuda nahin

kitni be-hiss hai aoulaad-e-aadam apni fitrat me
Darte hain machiss ki tili se magar aatish-e-jahannam se nahin

Labon pe shikyat liye phirte ho
Nigahon me nafrat liye phirte ho
Bhool gaye k tumne muhabbat ki hai!
Phir kiyon dard-e-ulafat liye phirte ho???

Khudi ki takleef se gar ankhe bhar aie to kya roya
Dard-e-digar me gar ashk bahe rukhsaar pe to kamaal hai