Pages

Saturday, June 2, 2012


Jahan-e-fani me aisa koi shaks nahi, Khubi k sath jisme kio khami nahi
Talash-e-fad-e-akmal ki aarzooyon me, Waqt zaya hoga hath kuch ayega nahi
Jo bhi hon paak teenat nek khaslaten, Kar adb-o-ahteram par burai kureed nahi
Jo hai hasil usi se le sabaq-e-sadaqat, Yaad rakh jo hai soo fir ayega nahi
Kre jo kaam neek khalq-e-khuda kelea, housla de usy tera kuch jayega nahi
Amn-o-aamaan ko rakh maqsad-e-hayat apne, nafrat ke karobar me kuch rakha nahi
Do hi pal hai zindegi ka gar ho yaqeen, teesre pal kabhi tere hath ayega nahi
Basar kar sharafat ki zindegi aisi, mare tu beshak magar naam tera mare nahi

Teri ruswai me bhi mehboob ka kamal dekh
Har kuche me tere ishq kai jamal dekh
Mudda-e-bahes hai Ishq tera har zuban par
Dekh! tu dekh apni zillat me uska zwaal dekh

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Wafae-e-Ulafat, Murawwat neez musarrat ki aarzooo na kar
Aye dil-e-nadaan jahan-e-iqshq me chahat ko majrooh na kar

Tuesday, May 22, 2012


Woh daur-e-tifil me mera, hamsaya hua krte thy
Todte thy khelouna magar, rishta nai toda krte thy
Jwani ne aaj is dehleez pe la khada kia humayn
Ab todte hain dil , pehle jo khelouna toda krte thy