Pages

Thursday, January 17, 2013


Teri Khwahish-e-ulfat me ye dil mafaad-parast ho gaya
Mere seene me dhadakta hai magar be-behra ho gaya
Meri taqaddus ki pamali me raha pesh-raft hardam
Qasoor iska nahin hai yaroo mai nafs-parast ho gayaa

Gar Hai Ishaq to Tarz-e-Takallum Sikh Le piyaare
Yeh Chand Lamhon Ki Be-Qarari Muhabbat nahin hoti

Muthi bhar farebiyon se na chahiye sanad deshbhakt ki
Aaj azad hai hindusthan sab dain hai Ulama-e-Millat ki

Tujhe dhundta hun har soo aye be-rahem
Magar tere lea to sirf gayer hai ahem
Meri kahan hogi qadar tujhko aye jaan-e-jaan
Muhabbat k khatawar pe koun karta hai rahem

Toda nahin hai bayt-e-babar ko tune aye qatil
Kia hai shaheed KHUDA K GHAR ko tune aye batil
Magar na bhool kabhi k uski lathi hai be-awaaz
Qareeb hai waqt tere Nest-o-Nabood ka aye ghafil
(Ahqar Baqi)

Sunday, December 2, 2012


Noor-E-Mujassam, Fakhr-e-do Alam
Habeeb-E-Kibriya, Rasool-E-Inso jaa'n,
Nabi-E-Rehmat, Bahr-e-Marefat,
Shafi-E-Mehshar, Imamul payambar,
Malik-E-Do Jahan, Rahmat-e-Alamiayah,
Tajdare Madina, Rahat-E-qalbo Sina,
Garibon ka ghmagusar, Harm ka taajdaar
Wajahe Kun-Kaienaat, Fakhr-e-Moujudaat
Janabe Ahmade Mujtaba, Muhammad Mustafa,
Nabiye Mukarram, Sallalaho Alayhi Wasallam.
ki itteba o itayat khuda ki itayat, Jo aata farmaye khushi se lelo or jisse mana famaye usse ijtenaab kro, gar tum taqwa wale hon.

Ankhen khool le ab bahut ho chuka hai
Mat bhool k tere sath dhoka hua hai
yeh siasat ki bazigari tu na samajh payega
Jhoote wadon se jo tujh ko roka hua hai

De sath apneon k ab hath me hath dal
Khada rah unke sath apne pairon k bal
Kandhon se kandha mila saf-e-namaz jaise
Azam k sath farebiyon ki sarkar badaldaal
===============================

Chhinna masumon ki hansi fitrat hai hamari
Ujadna god maon ki e bhi hai fitrat hamari
Zulm o zayadti aor qatl hi hai pehchaan hamari
Hum Ehudi chalate hain puri dunia pe dadagiri
=============================