Pages

Thursday, January 17, 2013


Teri talab mai maine har past ko bala jaana
Tujhe bhulne ki talqeen ko chahat ka sila jaana
Tujh ko kya khabar k aye jaan-e-tamanna meti
Aasan hai rooh ki parwaaz magr zabt ko aala jana

Kitni mushkil hai dil ko rook pana Aye baqi
Thak gaya tere Ishq pe parda dalte dalte

Teri Khwahish-e-ulfat me ye dil mafaad-parast ho gaya
Mere seene me dhadakta hai magar be-behra ho gaya
Meri taqaddus ki pamali me raha pesh-raft hardam
Qasoor iska nahin hai yaroo mai nafs-parast ho gayaa

Gar Hai Ishaq to Tarz-e-Takallum Sikh Le piyaare
Yeh Chand Lamhon Ki Be-Qarari Muhabbat nahin hoti

Muthi bhar farebiyon se na chahiye sanad deshbhakt ki
Aaj azad hai hindusthan sab dain hai Ulama-e-Millat ki

Tujhe dhundta hun har soo aye be-rahem
Magar tere lea to sirf gayer hai ahem
Meri kahan hogi qadar tujhko aye jaan-e-jaan
Muhabbat k khatawar pe koun karta hai rahem

Toda nahin hai bayt-e-babar ko tune aye qatil
Kia hai shaheed KHUDA K GHAR ko tune aye batil
Magar na bhool kabhi k uski lathi hai be-awaaz
Qareeb hai waqt tere Nest-o-Nabood ka aye ghafil
(Ahqar Baqi)