Pages

Thursday, January 17, 2013


Are suno na please kuch waise keh do
Rahat-e-qalb-o-seena me kuch aisa kar do
Na kro sada-e-haq ko ayan izhar-e-ulfat me
Tadapti rooh ko qarar ajaye kuch waisa krdo

Teri talab mai maine har past ko bala jaana
Tujhe bhulne ki talqeen ko chahat ka sila jaana
Tujh ko kya khabar k aye jaan-e-tamanna meti
Aasan hai rooh ki parwaaz magr zabt ko aala jana

Kitni mushkil hai dil ko rook pana Aye baqi
Thak gaya tere Ishq pe parda dalte dalte

Teri Khwahish-e-ulfat me ye dil mafaad-parast ho gaya
Mere seene me dhadakta hai magar be-behra ho gaya
Meri taqaddus ki pamali me raha pesh-raft hardam
Qasoor iska nahin hai yaroo mai nafs-parast ho gayaa

Gar Hai Ishaq to Tarz-e-Takallum Sikh Le piyaare
Yeh Chand Lamhon Ki Be-Qarari Muhabbat nahin hoti

Muthi bhar farebiyon se na chahiye sanad deshbhakt ki
Aaj azad hai hindusthan sab dain hai Ulama-e-Millat ki

Tujhe dhundta hun har soo aye be-rahem
Magar tere lea to sirf gayer hai ahem
Meri kahan hogi qadar tujhko aye jaan-e-jaan
Muhabbat k khatawar pe koun karta hai rahem