Pages

Thursday, January 17, 2013


Tu mere muqaddar me nahi ye aor bat hai
Magr sarapa tu meri chahat hi chahat hai
Naseeb ka likhne wala "qudrat hai orna
Likh deta k tu hi meri qismat ki rahat hai

Na mita saka mai qismat ki un-chahilakeeron ko
Ajnabi ko apnaya magar na bhulpaya kuch chehron ko
Ajab khel hai ankhmacholi taqdeer aor datveer ka
Qismat k agy be-bas hun ye kaise kahun yaron ko

Asmat ki be-parwah Be-aabroo ho kar aie hai bhari mehfil mai
Kehti hai nazr-e-bad ki khataa na krna yaron e izhar-e-aazadi hai

Are suno na please kuch waise keh do
Rahat-e-qalb-o-seena me kuch aisa kar do
Na kro sada-e-haq ko ayan izhar-e-ulfat me
Tadapti rooh ko qarar ajaye kuch waisa krdo

Teri talab mai maine har past ko bala jaana
Tujhe bhulne ki talqeen ko chahat ka sila jaana
Tujh ko kya khabar k aye jaan-e-tamanna meti
Aasan hai rooh ki parwaaz magr zabt ko aala jana

Kitni mushkil hai dil ko rook pana Aye baqi
Thak gaya tere Ishq pe parda dalte dalte

Teri Khwahish-e-ulfat me ye dil mafaad-parast ho gaya
Mere seene me dhadakta hai magar be-behra ho gaya
Meri taqaddus ki pamali me raha pesh-raft hardam
Qasoor iska nahin hai yaroo mai nafs-parast ho gayaa

Gar Hai Ishaq to Tarz-e-Takallum Sikh Le piyaare
Yeh Chand Lamhon Ki Be-Qarari Muhabbat nahin hoti