Pages

Wednesday, November 27, 2013

Yuh to ayaan sabkuch hai iss zubaan par

Yuh to ayaan sabkuch hai iss zubaan par
Dil bhi mutassir hai nayen bhi ashk-baar
Magar keya rakha hai zebaish-e-alfaaz me mehboob
Kaghaz k phool ko na kabhi khushboo muyassar

Chubhta hai Dil me jab haqa-iq key khanjar
Sochta hun keh Qatil hou! ya hou dilwar
Kehte ho jaana kiyon chahte ho meri barbadi
Azm hai k mumkin hi nahi baat hon hawaa-par

Kya Naaz-o-Ada se krte ho aitemaad ko ghayel
Jab keh sadi se tum meri mohabbat ke ho qayel
Guftaar-e-bebaki me zara aehteyat barto meri jaan
kiyon k tafreeq-e-dil-o-zuban se dil hoga na mayil

Tuesday, November 12, 2013

Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi

Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi
Mai ziddi hun magar tum kuch kam bhi nahi

Kabhi Ulfat ko tum meri samjhe hi nahi
Magar shikwa nahi koi shikayat bhi nahi

Wasoolon pe aksar tum marte hi rahe
Magar dil pe tawajjoh kabhi ki hi nahi

Qasoorwar tum bhi nahi beqasoor mai bhi nahi
Mohabbat karne ki khata so tumne ki hi nahi

Mai kuch na khun tum ko tum sunogy bhi nahi
Ilzaam-tarashi ki meri koi aadat bhi nahi

Tum khush raho sada jahan bhi ho kahin
Apni duaon me mujh ko yad rakho na sahi

Waqt ka ye mejaz kabhi yaksa rahta hi nahi
Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi

Tuesday, September 10, 2013

Teri hifazat me nakaam main aaj bhi hun

Teri hifazat me nakaam main aaj bhi hun
Aye dil tu dil hi hai manta aaj bhi hun
Kisi ko Jaleel kisi ko Zaleel kiya hai tune
Tu hakim mai mehkoom manta aaj bhi hun

Muddat ki jang me tujh se aaj har gaya
Kahan tak ladhun tanha tujh se har gaya
Meri aarzoo na kuch kaam aa saki Aye dil
Barson ki aas aaj toot gai mai har gaya

Ajeeb shaye hai tu sab me basta hai
Charinda ya ho parinda sab me basta ha
Karta hai salf quwwat ata karta hai parwaaz
Mai dekhun tera khouf sab me basta hai


Monday, September 9, 2013

Elahi hai har shai pe teri qudrat-e-kaamil

Elahi hai har shai pe teri qudrat-e-kaamil
Mujh nutf-e-napaak ko be-niyaaz karde
Na chhor dil-e-danish ko apni fahem par
Apni rahmat se meri zabt ko sarfraaz krde  

Na chhute daman-e-sabar hath se

Elahi mazeed thoda sa aor sabar ata kar
Hasrate hain unke sath mera hashar atakar

Tera hi sahara hai baqi sab na-ummeed
Unki dua me kuch aisa asar ata kar

Meri na sahi par unki tu sun le Ya Rabb
Ab waqt hain meri mohabbat ka ajar ata kar

Mai hi kafi hun unki ulfat me tadapne kelea
Unka tamaam dard-o-gham ahqar ko atakar

Elahi mai unka na sahi magar wo to meri hai
Wo sada khush rahe aisa muqaddar ata kar

Mai dam-e-aakhir tak unki khair mangta rahunga
Elahi bas unhain unke rishte pe aitebaar ata kar

Wo meri na ho saki magar koi gila qatai nahi
Elahi unhain unki zindegi ka qamar ata kar.

Mehrumi-e-muhabbt se unko bacha le Ya Rabb
Nakam na hon, unhain tu zeest-e-behtar ata kar

Mere dil me unki mohabbat rahegi ta-yaat magar
Aye zindegi! meri yaad se unko zara bhi preshaan na kar

Thursday, January 17, 2013


Halawat-e-Iimani se mujh ko musharraf karde
Ya Rab!Ism-e-Muhammadi ka mujh ko Ahraaf karde

Ana ki tapish me jhulasti he meri salahiyaten
Ya Rab! Nafs ko rakh zeer aor qalb ko zabar krde

Zoor-e-shehwani se sharm-saar hai mere aousaaf
Ya Rab!Quwwat-e-Bandegi ka mujh me izaafa karde

Elahi Mai laakh bura sahi magar banda hun tera
Bandegi se na rahun ghafil fann-e-touba ata karde

Badi maherban hai shab-e-furaqat teri aaj
Jo bhi likh raha hun shayeri ho rahi hai