Pages

Wednesday, April 11, 2012

Elahi kiuyn Insan hi me hai anaparasti

Elahi kiuyn Insan hi me hai anaparasti is qadar
Jab k safar-e-zeest me jit ti hai dooriyan eksar
Koi gham nai hota is mitti ke putle ko
Jo krta hai qata talluq jan buzhkar
Jism-e-khaki me Elahi aisa kya dala hai
Hairat hai muzhko Elahi teri is khilqat par
Dia hai tune soozh-boozh ache bure ki
krte nahi hain amal aor rahte na-shukt
Krun mai dua teri bargah me roro kar
Neki ki de taufeeq aor aql-e-saleem atakar
Sabkuch hi tere hath hi me hai maula tu karam kar
Ana ki zidd se bachale maula hum hai khatawaar

Tashaffi krlun mai kheyalon

Tashaffi krlun mai kheyalon ki parwaaz mai
Magar haqiqat-e-hal se ghafil hai fitrat meri

Dil ko aab tadapne ka ab saliqah

Dil ko aab tadapne ka ab saliqah agaya
Zubaa'n khamosh or nainon me tufaa'n bhardia
Uski yaad me eksar behte thy jo ashk pakon se
Un be-moul motiyon ko simat kr anmool krdia

Muzh ko muhabbat ki wo saza de mere

Muzh ko muhabbat ki wo saza de mere maula
Rooh kaanp jayen gairlullah ke aashiqon ki
Shiddat-e-zulm-e-bilali me muzh ko mubtala krde
Dekh kar phat jaye aankhen gairullah k aashiqon ki

Zulm ki intehan krde muzh par har ghadi mere maula
Dil dahel jaye dekh kr muhabbat krne walon ka mere maula
Dil ko nadim-o-pasheman karde tu apni haibat se mere maula
Nafs ki sarkahsi ko kuchal de apne qahr-o-ghazab se mere maula

Ab quwwat-e-bardasht na rahi taab lane ki
Tamanna hai ghadi do ghadi sukun se jeene ki
Usy mita de meri yaad dasht se hamehsa kelea
Koi surat nahi hai mushkil tere ekhteyar ki

Hubb-e-elahi se qalb ko pakiza krde mere maula
Ishq-e-rasool se dil ko muattar krde mere maula
Dil ko zikr-e-elahi ka maskan krde mere maula
Dil se nikli is dua ko tu maqbool krde mere maula
Ameen Ya Ar Hamar Rahimeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeen

Monday, April 2, 2012

Mai aseer-e-dard-o-gham hun

Jee bhar kar aaj doo ansun baha lene do
Mai aseer-e-dard-o-gham hun rolene do
Furqat ke aadab me munjamid the jo palkon me
Aaj unhain qatra qatra rukhsaar pe behlene do

Dastoor-e-murawwat me dard sah lene do
Ashqon ko plakon se aaj bah lene do
Diya jo jalaya hai humne uski yaad me
Qatra qatra khoon-e-jigar aaj jal jane do

Be basi me chand saat or guzar lene do
Be kasi me rooh ko usy pukar lene do
be tabi ko aaj sar chadkar bol lene do
Nainon ko aaj savaan o bhdon sa rah lene do