Pages

Tuesday, September 10, 2013

Teri hifazat me nakaam main aaj bhi hun

Teri hifazat me nakaam main aaj bhi hun
Aye dil tu dil hi hai manta aaj bhi hun
Kisi ko Jaleel kisi ko Zaleel kiya hai tune
Tu hakim mai mehkoom manta aaj bhi hun

Muddat ki jang me tujh se aaj har gaya
Kahan tak ladhun tanha tujh se har gaya
Meri aarzoo na kuch kaam aa saki Aye dil
Barson ki aas aaj toot gai mai har gaya

Ajeeb shaye hai tu sab me basta hai
Charinda ya ho parinda sab me basta ha
Karta hai salf quwwat ata karta hai parwaaz
Mai dekhun tera khouf sab me basta hai


Monday, September 9, 2013

Elahi hai har shai pe teri qudrat-e-kaamil

Elahi hai har shai pe teri qudrat-e-kaamil
Mujh nutf-e-napaak ko be-niyaaz karde
Na chhor dil-e-danish ko apni fahem par
Apni rahmat se meri zabt ko sarfraaz krde  

Na chhute daman-e-sabar hath se

Elahi mazeed thoda sa aor sabar ata kar
Hasrate hain unke sath mera hashar atakar

Tera hi sahara hai baqi sab na-ummeed
Unki dua me kuch aisa asar ata kar

Meri na sahi par unki tu sun le Ya Rabb
Ab waqt hain meri mohabbat ka ajar ata kar

Mai hi kafi hun unki ulfat me tadapne kelea
Unka tamaam dard-o-gham ahqar ko atakar

Elahi mai unka na sahi magar wo to meri hai
Wo sada khush rahe aisa muqaddar ata kar

Mai dam-e-aakhir tak unki khair mangta rahunga
Elahi bas unhain unke rishte pe aitebaar ata kar

Wo meri na ho saki magar koi gila qatai nahi
Elahi unhain unki zindegi ka qamar ata kar.

Mehrumi-e-muhabbt se unko bacha le Ya Rabb
Nakam na hon, unhain tu zeest-e-behtar ata kar

Mere dil me unki mohabbat rahegi ta-yaat magar
Aye zindegi! meri yaad se unko zara bhi preshaan na kar