Pages

Saturday, June 25, 2011

Ishq o aashiqi

teri muhabbat me sab kuch fana krdia
par ak chiz tere se chura kar humne rakhlia
guzre lamhey ki yadon ka chirag jala lia
fir apne khun-e-jigar se usy roushan krdia
ye soch kr k ta umar chirag jalta hi rahega
par hawa ke ak zhonke ne sab kuch tabah krdia
==============================================
mere hum nashin mere hum safar mere akhri rah ke tu rah-guzar
mere dil nashin mere noor-e-nazar meri har ghari ke tu muntazar
tuzhe dil dia tuzhe jaan bhi di mai hun tera ak jaan niasar
chahe tham le chahe chor de yeh tere akhteyar ki bat hai
hum bik gaye ak nazar mai par they anmol apne qurb mai
yeh to ishq ke jaam hai wrna saqi madhoshi to teri chahat mai hai
=================================================
Kuch roushni baqi rahne do apni yadon ki
na jane zindegi k kis mod par tariki ajaye
============================================
Meri barbadi pe hansney wale tuzhe kya khabar,
bahut khuch kho kr e barbadiya kharidi mainy
============================================
humne aarmanon ki duniya aabada ki hain
chand doston ko batore mehman dawat ki hain
par be tab thin meri nazreyn unhey dekhne ko
afsos usi roz kisi ne unhyn shareek-e-hayat ki hai
==============================================
Tuhze kitni hasraton se chaha hoga
armanon ka jahaa(n) aabad raha hoga
krnegy naaz apni aashiqi par us waqt
jab tere kandhon pe mera janaza chara hoga
===========================================
is dour-e-hazir me chand bashar mily
apne paraya jo bhi mily matlabi mily
har ak ko garz thin meri zaat se
maqsad pura hua too kisi jagah na mily
hum pehly bhi tanha they ab bhi tanha hai
har koi chor ke chale gay jo naseeb se mily
ab to apni qismat pe shakir rahna sikh lia
har ak ke kam ajau mere kam me koi mily na mily
==============================================
hum aksar teri yadon k die jalaya krte hain
apne khun-e-jigar se phir usy roushan kia krte hain
tel ki jagah boondon ko hum istemal kia krte hain
teri yadon ko bachane kelea zindegi dia krte hain
====================================================
Husn aaj be naqab he bhari mehfil me
Ruswa kro chahe tareeef
Yeh to nazron ke hunar ki bat hai
badsha ho ya ghareeb
==============================================
Aaj muhabbat ka aelan krte hain
Allah se to na ho saki gairullah ka bayan krte hain
Har bashar mubtala hai muhabbt-e-majazi me
Aaj hum muhabbat-e-haqiqi ka mailan krte hain
Dua krna doston mere haq me behteri ki
Housla de elahi mzuhe qissa tamam krte hain
Aarif na aabid khelaun faqat banda hi sahi
Aamal-e-saleha ka erada-e-musammam krte hain
=====================================================
Muddat guzari hai jiske intezar me hum
Aaya lekar apne sath khazan-e-gham
Kal to thehi udas usy dekh kr bhi udas hi rahe
Aisa rishta joda hai humse yeh bechare gham
======================================================
Ek sach aaj bhari mehfil me aafshan krta hun
uski tasveer ko mai sham-o-saher dekha krta hun
na dekha usy ru-ba-ru na mumkin he aisa kabhi
na bhool ne ki garz usy hama tan dekha krta hun

shayed mil jaye kisi deyar me yeh soch kar
galati na kr jaun pehchn ne me usy phli bar
zahen ke goshey goshey usy naqsh krta hun
isi garz sham-o-saher usy dekha krta hun
================================================
uski khashiyat ka aalam hai yeh
k pita hai sajzh ko phunk phunk kr
zakhm usky dil ke gahre the inte
na bhula kabhi o doodh se jalne ka asar
===============================================
Tanhai se darte nahi unhey to roushni se khauf hai
bekhudi pe kai bar jala chuke hain daman apna
=============================================
kisi ki talash me is qadar masroof rahe hum
zindegi bhar muqaddar ki lakire mitata gya
===========================================
na talash is deyar me kisi ko
nazar aksar dhoka khati he ehan
insan ki shakal me milega har koi
par pehchan kisi ki asan nahi ehan
==============================================
Woh bachpan woh bakpan kyahi khoob hua krte thy
Hum tumhari masoom nigahon me aksar basa krte thy
Aaj phirti ho nainon me samandar basaye apni
Magar aaj hum boond- boond taraste rahte hain
=============================================

No comments:

Post a Comment