Pages

Wednesday, November 27, 2013

Yuh to ayaan sabkuch hai iss zubaan par

Yuh to ayaan sabkuch hai iss zubaan par
Dil bhi mutassir hai nayen bhi ashk-baar
Magar keya rakha hai zebaish-e-alfaaz me mehboob
Kaghaz k phool ko na kabhi khushboo muyassar

Chubhta hai Dil me jab haqa-iq key khanjar
Sochta hun keh Qatil hou! ya hou dilwar
Kehte ho jaana kiyon chahte ho meri barbadi
Azm hai k mumkin hi nahi baat hon hawaa-par

Kya Naaz-o-Ada se krte ho aitemaad ko ghayel
Jab keh sadi se tum meri mohabbat ke ho qayel
Guftaar-e-bebaki me zara aehteyat barto meri jaan
kiyon k tafreeq-e-dil-o-zuban se dil hoga na mayil

Tuesday, November 12, 2013

Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi

Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi
Mai ziddi hun magar tum kuch kam bhi nahi

Kabhi Ulfat ko tum meri samjhe hi nahi
Magar shikwa nahi koi shikayat bhi nahi

Wasoolon pe aksar tum marte hi rahe
Magar dil pe tawajjoh kabhi ki hi nahi

Qasoorwar tum bhi nahi beqasoor mai bhi nahi
Mohabbat karne ki khata so tumne ki hi nahi

Mai kuch na khun tum ko tum sunogy bhi nahi
Ilzaam-tarashi ki meri koi aadat bhi nahi

Tum khush raho sada jahan bhi ho kahin
Apni duaon me mujh ko yad rakho na sahi

Waqt ka ye mejaz kabhi yaksa rahta hi nahi
Be-wafa tum bhi nahi ba-wafa hum bhi nahi