Pages

Friday, October 19, 2012

Mamta hon ya Nitesh


Mamta hon ya Nitesh
Maya hon ya Akhilesh
koi ayega na kaam hamara
Khol le ankhe ab bhi hai savera
Apnon ki tu pehchan karle
Ek hi chat k niche rahle
Na lad jhadag aapas me tu
Mil jul kar rah le ab tu
Dohra de tareekh ittehaad ki
Badal de sarkaar farebiyon ki
Tham le daman amno amaan ka
Banja khalifa tu rue zameen ka

Faqt 313 muslims


Faqt 313 muslims hi thy bhari kuffaare makka par
Bawajood 313 krod k aaj kuffar hain ghalib humpar
Maqaam-e-fikr hai k kya hum hain muslim abhi bhi
Na shariat ki paassdari na tahzeeb ka hai kuch asar

Saturday, June 2, 2012


Jahan-e-fani me aisa koi shaks nahi, Khubi k sath jisme kio khami nahi
Talash-e-fad-e-akmal ki aarzooyon me, Waqt zaya hoga hath kuch ayega nahi
Jo bhi hon paak teenat nek khaslaten, Kar adb-o-ahteram par burai kureed nahi
Jo hai hasil usi se le sabaq-e-sadaqat, Yaad rakh jo hai soo fir ayega nahi
Kre jo kaam neek khalq-e-khuda kelea, housla de usy tera kuch jayega nahi
Amn-o-aamaan ko rakh maqsad-e-hayat apne, nafrat ke karobar me kuch rakha nahi
Do hi pal hai zindegi ka gar ho yaqeen, teesre pal kabhi tere hath ayega nahi
Basar kar sharafat ki zindegi aisi, mare tu beshak magar naam tera mare nahi

Teri ruswai me bhi mehboob ka kamal dekh
Har kuche me tere ishq kai jamal dekh
Mudda-e-bahes hai Ishq tera har zuban par
Dekh! tu dekh apni zillat me uska zwaal dekh

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai

Kitni masoom si hasrat hai mere dost ki
Safr-e-ishq me umr-e-daraaz mangta hai