Pages

Tuesday, May 22, 2012


Woh daur-e-tifil me mera, hamsaya hua krte thy
Todte thy khelouna magar, rishta nai toda krte thy
Jwani ne aaj is dehleez pe la khada kia humayn
Ab todte hain dil , pehle jo khelouna toda krte thy

Bada hi kamzarf hain hum apni aarzooyon me BAQI
Ard-e-Elahi me khalq-e-khuda chahiye khuda nahin

kitni be-hiss hai aoulaad-e-aadam apni fitrat me
Darte hain machiss ki tili se magar aatish-e-jahannam se nahin

Labon pe shikyat liye phirte ho
Nigahon me nafrat liye phirte ho
Bhool gaye k tumne muhabbat ki hai!
Phir kiyon dard-e-ulafat liye phirte ho???

Khudi ki takleef se gar ankhe bhar aie to kya roya
Dard-e-digar me gar ashk bahe rukhsaar pe to kamaal hai

MITTI KA DHER HAI TU
FIR BHI MAGROOR HAI TU
SIFAT-E-KHALIQ SE NA ULAJH BANDE
NAFS K AAGY KAMZOOR HAI TU
Tanha na chhor meri jaaaa talab-e-rahem hai hal mera
Tujh se hi shab-o-roz hai mera tuzh se hi hai savera
Mai dard-e-ulfat me tadap raha hun har ghadi meri jaan
Faqat teri hi talab hai muzh ko har maqam o har jagah
Mai muqayyad hun zindan-e-muhabbat mai ek zamane se
Mujh ko rehai dede lamha bhar tu sharf-e-didaar se
Mujh ko haq dede k ab teri rasai paa sakun
Haqq-e-zayid kar ata tere ru-ba-ru aa sakun
Parde hata den darmiyan se aaye mehjabeen
Ab na aazma karam farma dekha rukhsaar-e-noori