Pages

Monday, April 2, 2012

Mai aseer-e-dard-o-gham hun

Jee bhar kar aaj doo ansun baha lene do
Mai aseer-e-dard-o-gham hun rolene do
Furqat ke aadab me munjamid the jo palkon me
Aaj unhain qatra qatra rukhsaar pe behlene do

Dastoor-e-murawwat me dard sah lene do
Ashqon ko plakon se aaj bah lene do
Diya jo jalaya hai humne uski yaad me
Qatra qatra khoon-e-jigar aaj jal jane do

Be basi me chand saat or guzar lene do
Be kasi me rooh ko usy pukar lene do
be tabi ko aaj sar chadkar bol lene do
Nainon ko aaj savaan o bhdon sa rah lene do

Saturday, March 31, 2012

Koi muzhko meri jaaa'n

Koi muzhko meri jaaa'n har hal me loouta do
Nafraton ki diwaron ko aaj firse hata do
Qasd hai k koi khata na krunga uski shaan me
Muzhko sada meri jaaa'n ki ulfat me mita do

Kahan ho tum ard-o-sama mai

Kahan ho tum ard-o-sama mai
Kahan ho tum mehekti fiza mai
Kahan ho tum chalti pavan mai
Kahan ho tum udte gagan mai
Kahan ho tum baag-o-bahar mai
Kahan ho tum sham-o-saher mai
Kahan ho tum subah ki thandak mai
Kahan ho tum sham ki rangat mai
Kahan ho tum shaiyer ki ghazal mai
Kahan ho tum kavi ke kheyal mai
Jahan kahi bhi ho tummmmmmm
Meherbaaan ho kar lout aao sanammmmmmmmmm

Jigar chahiye muhabbat me

Jigar chahiye muhabbat me barbad hone ko
Damdar log hi aksar muhabbat kia krte hain

Dard-e-ulafat ko bayaan krne

Dard-e-ulafat ko bayaan krne ki justuju mai humne eksar
Izhaar-e-muhabbat ki khamiyon ko nazar andaaz krdia
Pal do pal ki bhi fursat nahi thin k pasheeman hota
Talab-e-manzilat me muhabbat ko uhi rooswa krdia

Tuesday, March 27, 2012

Shehr-e-qazi se kho k ..........

Shehr-e-qazi se kho k muzh ko qatal kraden
Dard-e-ulfat ko zhel pana ab mushkil hai bahut
Yeh dil kafir ho chuka hai Yaad-e-bashar me
Ab Yaad-e-elahi me momin hona mushkil hai bahut

Usy qatai zarurat nahi hai meri

Usy qatai zarurat nahi hai meri
Muzhe uski chahat hai har ghadi
Kuch aisa karam ho jaye mere MAULA
Usy mil jaye rahat aur muzhe talab-e-digari