Pages

Sunday, June 5, 2011

Na manne wali sachchaiyan

Tan chupane ko jiske pass lebas nahin muyassar,
zamane ka khitab-e-ghurbat mila use har bar,
Yeh kaisa daur mai jee rahe hum ay Rabb-e-Kareem,
jahan tan ki numaish ko hunar samzhti hai nazneen.

Shayeri Kya hain.

Samazhte hai shayeri ko log, tute dil ka aashkara
yeh fankari he dil ki tarjuman ki, jo aql se he mawara
aam insan ka rog nahi jo samzh sake har qis-naqis
ahl-e-dil ho ahl-e-qalam ho ahl-e-ilm ka gahwara

Aana ko gar kia faana tune, ahl-e-bashar ho kar
Arsh mai teri madah krengey, woh farishta ho kar
Rashk krengey hoor-o-malaikah, teri juhud-e-nafsi par
yeh kaam jab hi aasan hai yaron, hasti mitane par
===========================================================
Na paas he usy mazhab ka na paasdari momin ki
kaisi parwarish rahi hogi unke waledayen ki
mazhab-e-islam me paida hokr islam ko ruswa krte hai
kaise deen kaisa imaan fir bhi musalma kaha krte hai
kash ye badal lete apne naam-e-islami ko zara
shayd khuda ki qahr-e-gazab se bacch jate zara
wrna inki amal ki kitab jis din khulegi
afoso inky bas ki tab koi bat bhi na rahegi
============================================================
Sab Dhoka hai fareb hai nazron ka or kuch nahi
Kisi bhi sakhs ka is deyar me aitebar kuch nahi
Humne usy apna man kar dil ke auraq khol diey
usney mazak banaya jazbaton ka or kcuh nahi

usy samzne me ak arsa laga magr samzha kuch nahi
usne chahre se parda hataya magr pehchana kuch nahi
ajab hai elahi is deyar ke bashindah bhala khoob hai
bahut kuch dekh kr bhi ye be-bas samzha kuch nahi
==================================================
Na kar barbad, waqt-e-az had, kabhi ladki ke piche
Kama le dhan, rah tu magan, dekh ladki fir tere piche
Man le meri bat, milegi rahat, gar ho manzoor tuzhe
Bacha le izzat, na milegi zillat, kash ho yaqin tuzhe
==================================================
Dard-e-furqat ko lab pe saza kar kya krta
Hajar sa dil hai mere mehboob ka
=================================================

No comments:

Post a Comment