Pages

Monday, March 26, 2012

Rasm hai hairat angeez zamane ki

Rasm hai hairat angeez zamane ki
Bajaye jaza k milti hai saza dil lagane ki
Hubb-e-bashar ko is qadar na naqsh kro is dil par
K Dard-e-ulfat me dast-e-dua uthy usy bhulane ki

Nainon me sawan lie firta hun

Nainon me sawan lie firta hun
Hathon me chalakte jaam lie frta hun
Chiragh-e-ummed buzh gaya ab yaron
Jism-e-khaki me chand sansen lia frta hun

Duniyah ki moh me krlo ekja hire-moti

Duniyah ki moh me krlo ekja hire-moti
Yaad rakhna yaron kafan me jeeb nahi hoti

Muhabbat-e-majazi se nijat mil jaye, aise Ishq-e-haqiqi ata kar

Muhabbat-e-majazi se nijat mil jaye, aise Ishq-e-haqiqi ata kar
Aye mere kibria tu hi tu ho har su aisi uss-at-e-nazar ata kar
Nafs ki talab hai k mubtala rahe hubb-e-bashar me eksar
Elahi iss ghaleez shai se muzh ko hifazat-e-taamma ata kar
Na ruswa kar kisi ke dar Aye mere maula mere kibria Ya MUTAKABBIR
Yeh Qalb pukare Allah Allah Ye rooh pukare nabi nabi aisi kaif ataa kar
Maa-siwa ko dil se mitao Aye mere bari tala aye maalik-e-ambar
Ho hubb-e-muhammadi Qurb-e-Elahi aye Rahmaan maqam-e-fanayiat ata kar
Fanah ho jaun terhi hi zaat pe mere kareem aisi be-khudi ataa kar
Har ghadi teri hi talab ho aye mere rabb aisi chahat ataa kar
Mere qalb ko mere maula maskan-e-la maujooda il-lal-lah ataa kar

Mushk o ambar ki talab nahi hai tuzh se Elahi

Mushk o ambar ki talab nahi hai tuzh se Elahi
Faqat mehek-e-mhmoob se mehroom na kar

Husn aaj lalkar raha hai meri nafs ki sarkashi ko

Husn aaj lalkar raha hai meri nafs ki sarkashi ko,
Khouf-e-Elahi se larza de meri ghairat ko Ya Raab

Musalman ho kar bhi woh qatil-e-shara hai,
Aise eman se meri shaurat ko bachale Ya Rabb

Mana k alamat-e-qiyamah hai yeh sab kuch magar,
Teri taufeeq pe naaz hai tu kibria hai Ya Rabb

Tere chahre pe ab woh baat na rahi

Tere chahre pe ab woh baat na rahi
Hansi hai hoton par magar khushi na rahi
Koun padhe tere chhre ki tassurat ehan par
Dard-o-gham k bashinda ab woh hasti na rahi